اردو हिंदी
Laeq wafa ke KHalq o saza-e-jafa hun main | Shaahi Shayari
laeq wafa ke KHalq o saza-e-jafa hun main

Ghazal

Laeq wafa ke KHalq o saza-e-jafa hun main

Qayem Chandpuri

;

laeq wafa ke KHalq o saza-e-jafa hun main
jitne hain yan so nek hain jo kuchh bura hun main

ja hai ki hon ye log tere pas us jagah
kab qabil-e-inayat-o-mehr-o-wafa hun main

mujh ko butan ki did se mat mana kar ki shaiKH
kya jaane is libas mein kya dekhta hun main

aage mere na ghair se go tum ne baat ki
sarkar ki nazar ko to pahchanta hun main

begana jin se mil ke tu pyare hua hai yan
un sab mein ek baDa to tera aashna hun main

puchho ho mujh se tum ki piyega bhi tu sharab
aisa kahan ka shaiKH hun ya parsa hun main

jaur-e-sipahr o duri-e-yaran o ru-e-ghair
jo kuchh na dekhna tha so ab dekhta hun main

aaina o ghubar mein jun yak-digar hai rabt
jo pur-kadar hain un se ziyaada safa hun main

'qaem' hayat-o-marg-e-buz-o-gaw mein hain nafa
is mardumi ke shor pe kis kaam ka hun main