kahin kahin se kuchh misre ek-adh ghazal kuchh sher
is punji par kitna shor macha sakta tha main
Iftikhar Arif
zindagi bhar ki kamai yahi misre do-chaar
is kamai pe to izzat nahin milne wali
Iftikhar Arif
ye tere ashaar teri manawi aulad hain
apne bachche bechna 'iqbaal-sajid' chhoD de
Iqbal Sajid
ashaar mere yun to zamane ke liye hain
kuchh sher faqat un ko sunane ke liye hain
Jaan Nisar Akhtar
hum se puchho ki ghazal kya hai ghazal ka fan kya
chand lafzon mein koi aag chhupa di jae
Jaan Nisar Akhtar
hamare sher ko sun kar sukut KHub nahin
bayan kijiye is mein jo kuchh tammul ho
Joshish Azimabadi
'kaif' yun aaghosh-e-fan mein zehn ko nind aa gai
jaise man ki god mein bachcha sisak kar so gaya
Kaif Ahmed Siddiqui