اردو हिंदी
Jab lagen zaKHm to qatil ko dua di jae | Shaahi Shayari
jab lagen zaKHm to qatil ko dua di jae

Ghazal

Jab lagen zaKHm to qatil ko dua di jae

Jaan Nisar Akhtar

;

jab lagen zaKHm to qatil ko dua di jae
hai yahi rasm to ye rasm uTha di jae

dil ka wo haal hua hai gham-e-dauran ke tale
jaise ek lash chaTanon mein daba di jae

inhin gul-rang darichon se sahar jhankegi
kyun na khilte hue zaKHmon ko dua di jae

kam nahin nashshe mein jaDe ki gulabi raaten
aur agar teri jawani bhi mila di jae

hum se puchho ki ghazal kya hai ghazal ka fan kya
chand lafzon mein koi aag chhupa di jae