suKHan mein sahl nahin jaan nikal kar rakhna
ye zindagi hai hamari sambhaal kar rakhna
Obaidullah Aleem
apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun
Parveen Shakir
chhupi hai an-ginat chingariyan lafzon ke daman mein
zara paDhna ghazal ki ye kitab aahista aahista
Prem Bhandari
duniya ne tajrabaat o hawadis ki shakl mein
jo kuchh mujhe diya hai wo lauTa raha hun main
Sahir Ludhianvi
ahta suKHan se nam qayamat talak hai 'zauq'
aulad se to hai yahi do pusht chaar pusht
Sheikh Ibrahim Zauq
ah-e-mazmun-e-taza band nahin
ta qayamat khula hai bab-e-suKHan
Wali Mohammad Wali