us ka to ek lafz bhi hum ko nahin hai yaad
kal raat ek sher kaha tha jo KHwab mein
Kamal Ahmad Siddiqi
shairi mein anfus-o-afaq mubham hain abhi
istiara hi haqiqat mein KHuda sa KHwab hai
Kavish Badri
harf ko barg-e-nawa deta hun
yun mere pas hunar kuchh bhi nahin
Khaleel Tanveer
huk taKHliq ka talent baDha deti hai
peT KHali ho to hum sher naya kahte hain
Khalid Irfan
aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya
dekho hum ne peT ki KHatir kya kya karobar kiya
Mahmood Shaam
dharti ko dhaDkan mili mila samay ko gyan
mere jab jab lab khule uTha koi tufan
Nazir Fatehpuri
apne lahje ki hifazat kijiye
sher ho jate hain na-malum bhi
Nida Fazli