ghazal ka sher to hota hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunana paDta hai
Azhar Inayati
hazaron sher mere so gae kaghaz ki qabron mein
ajab man hun koi bachcha mera zinda nahin rahta
Bashir Badr
mera har sher hai ek raaz-e-haqiqat 'beKHud'
main hun urdu ka 'naziri' mujhe tu kya samjha
Bekhud Dehlvi
is ko samjho na KHatt-e-nafs 'hafiz'
aur hi kuchh hai shaeri se gharaz
Hafeez Jaunpuri
andish-e-alfaz jaDne se nigun ke kam nahin
shaeri bhi kaam hai 'atish' murassa-saz ka
Haidar Ali Aatish
hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi
ek turfa tamasha hai 'hasrat' ki tabiat bhi
Hasrat Mohani
sher dar-asl hain wahi 'hasrat'
sunte hi dil mein jo utar jaen
Hasrat Mohani