اردو हिंदी
Jaisa hun waisa kyun hun samjha sakta tha main | Shaahi Shayari
jaisa hun waisa kyun hun samjha sakta tha main

Ghazal

Jaisa hun waisa kyun hun samjha sakta tha main

Iftikhar Arif

;

jaisa hun waisa kyun hun samjha sakta tha main
tum ne puchha to hota batla sakta tha main

aasuda rahne ki KHwahish mar gai warna
aage aur bahut aage tak ja sakta tha main

chhoTi-moTi ek lahar hi thi mere andar
ek lahar se kya tufan uTha sakta tha main

kahin kahin se kuchh misre ek-adh ghazal kuchh sher
is punji par kitna shor macha sakta tha main

jaise sab likhte rahte hain ghazlen nazmen git
waise likh likh kar ambar laga sakta tha main