dil se uThta hai subh-o-sham dhuan
koi rahta hai is makan mein abhi
Anjum Rumani
dil sulagta hai tere sard rawayye se mera
dekh ab barf ne kya aag laga rakkhi hai
Anwar Masood
sirf us ke honT kaghaz par bana deta hun main
KHud bana leti hai honTon par hansi apni jagah
Anwar Shuoor
KHwabon ke ufuq par tera chehra ho hamesha
aur main usi chehre se nae KHwab sajaun
Athar Nafees
agar talash karun koi mil hi jaega
magar tumhaari tarah kaun mujh ko chahega
Bashir Badr
itni milti hai meri ghazlon se surat teri
log tujh ko mera mahbub samajhte honge
Bashir Badr
mahak rahi hai zamin chandni ke phulon se
KHuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai
Bashir Badr