اردو हिंदी
Ab kahan aur kisi chiz ki ja rakkhi hai | Shaahi Shayari
ab kahan aur kisi chiz ki ja rakkhi hai

Ghazal

Ab kahan aur kisi chiz ki ja rakkhi hai

Anwar Masood

;

ab kahan aur kisi chiz ki ja rakkhi hai
dil mein ek teri tamanna jo basa rakkhi hai

sar-ba-kaf main bhi hun shamshir-ba-kaf hai tu bhi
tu ne kis din pe ye taqrib uTha rakkhi hai

dil sulagta hai tere sard rawayye se mera
dekh ab barf ne kya aag laga rakkhi hai

aaina dekh zara kya main ghalat kahta hun
tu ne KHud se bhi koi baat chhupa rakkhi hai

jaise tu hukm kare dil mera waise dhaDke
ye ghaDi tere ishaaron se mila rakkhi hai

mutmain mujh se nahin hai jo raiyat meri
ye mera taj rakha hai ye qaba rakkhi hai

gauhar-e-ashk se KHali nahin aankhen 'anwar'
yahi punji to zamane se bacha rakkhi hai