tumhaare shahr ka mausam baDa suhana lage
main ek sham chura lun agar bura na lage
Qaisar-ul-Jafri
aaKHri hichki tere zanun pe aae
maut bhi main shairana chahta hun
Qateel Shifai
hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge
abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao
Qateel Shifai
aaina dekh ke kahte hain sanwarne wale
aaj be-maut marenge mere marne wale
on seeing her own reflection she is moved to say
ere their time, my paramours shall perish this day
Rasheed Rampuri
sham Dhale ye soch ke baiThe hum apni taswir ke pas
sari ghazlen baiThi hongi apne apne mir ke pas
Saghar Azmi
tum kya jaano apne aap se kitna main sharminda hun
chhuT gaya hai sath tumhaara aur abhi tak zinda hun
Saghar Azmi
tum se milti-julti main aawaz kahan se launga
taj-mahal ban jae agar mumtaz kahan se launga
Saghar Azmi