tamam umr KHushi ki talash mein guzri
tamam umr taraste rahe KHushi ke liye
Abul Mujahid Zahid
warna insan mar gaya hota
koi be-nam justuju hai abhi
Ada Jafri
tere baghair bhi to ghanimat hai zindagi
KHud ko ganwa ke kaun teri justuju kare
Ahmad Faraz
khoya hai kuchh zarur jo us ki talash mein
har chiz ko idhar se udhar kar rahe hain hum
Ahmad Mushtaq
hai justuju ki KHub se hai KHub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
Altaf Hussain Hali
hum ki mayus nahin hain unhen pa hi lenge
log kahte hain ki DhunDe se KHuda milta hai
Arsh Siddiqui
jis husn ki hai chashm-e-tamanna ko justuju
wo aaftab mein hai na hai mahtab mein
Asar Sahbai