اردو हिंदी
Ab manzil-e-sada se safar kar rahe hain hum | Shaahi Shayari
ab manzil-e-sada se safar kar rahe hain hum

Ghazal

Ab manzil-e-sada se safar kar rahe hain hum

Ahmad Mushtaq

;

ab manzil-e-sada se safar kar rahe hain hum
yani dil-e-sukut mein ghar kar rahe hain hum

khoya hai kuchh zarur jo us ki talash mein
har chiz ko idhar se udhar kar rahe hain hum

goya zamin kam thi tag-o-taz ke liye
paimaish-e-nujum-o-qamar kar rahe hain hum

kafi na tha jamal-e-ruKH-e-sada-e-bahaar
zebaish-e-giyah-o-shajar kar rahe hain hum