اردو हिंदी
Ek aaina ru-ba-ru hai abhi | Shaahi Shayari
ek aaina ru-ba-ru hai abhi

Ghazal

Ek aaina ru-ba-ru hai abhi

Ada Jafri

;

ek aaina ru-ba-ru hai abhi
us ki KHushbu se guftugu hai abhi

wahi KHana-ba-dosh ummiden
wahi be-sabr dil ki KHu hai abhi

dil ke gunjaan raston pe kahin
teri aawaz aur tu hai abhi

zindagi ki tarah KHiraj-talab
koi darmanda aarzu hai abhi

bolte hain dilon ke sannaTe
shor sa ye jo chaar-su hai abhi

zard patton ko le gai hai hawa
shaKH mein shiddat-e-numu hai abhi

warna insan mar gaya hota
koi be-nam justuju hai abhi

ham-safar bhi hain rahguzar bhi hai
ye musafir hi ku-ba-ku hai abhi