اردو हिंदी
Kya aise kam-suKHan se koi guftugu kare | Shaahi Shayari
kya aise kam-suKHan se koi guftugu kare

Ghazal

Kya aise kam-suKHan se koi guftugu kare

Ahmad Faraz

;

kya aise kam-suKHan se koi guftugu kare
jo mustaqil sukut se dil ko lahu kare

ab to hamein bhi tark-e-marasim ka dukh nahin
par dil ye chahta hai ki aaghaz tu kare

tere baghair bhi to ghanimat hai zindagi
KHud ko ganwa ke kaun teri justuju kare

ab to ye aarzu hai ki wo zaKHm khaiye
ta-zindagi ye dil na koi aarzu kare

tujh ko bhula ke dil hai wo sharminda-e-nazar
ab koi hadsa hi tere ru-ba-ru kare

chup-chap apni aag mein jalte raho 'faraaz'
duniya to arz-e-haal se be-abru kare