lagi rahti hai ashkon ki jhaDi garmi ho sardi ho
nahin rukti kabhi barsat jab se tum nahin aae
Anwar Shuoor
har ishq ke manzar mein tha ek hijr ka manzar
ek wasl ka manzar kisi manzar mein nahin tha
Aqeel Abbas Jafri
ek raushni si dil mein thi wo bhi nahin rahi
wo kya gae charagh-e-tamanna bujha gae
Arsh Malsiyani
haalat ne kisi se juda kar diya mujhe
ab zindagi se zindagi mahrum ho gai
Asad Bhopali
ek shakl hamein phir bhai hai ek surat dil mein samai hai
hum aaj bahut sarshaar sahi par agla moD judai hai
Athar Nafees
KHalal-pazir hua rabt-e-mehr-o-mah mein waqt
bata ye tujh se judai ka waqt hai ki nahin
Aziz Hamid Madni
KHud chale aao ya bula bhejo
raat akele basar nahin hoti
Aziz Lakhnavi