judaiyon ke zaKHm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi nind aa gai mujhe bhi sabr aa gaya
Nasir Kazmi
yaad hai ab tak tujh se bichhaDne ki wo andheri sham mujhe
tu KHamosh khaDa tha lekin baaten karta tha kajal
Nasir Kazmi
juda kisi se kisi ka gharaz habib na ho
ye dagh wo hai ki dushman ko bhi nasib na ho
from their beloved separated none should be
such a fate should not befall even my enemy
Nazeer Akbarabadi
us ko ruKHsat to kiya tha mujhe malum na tha
sara ghar le gaya ghar chhoD ke jaane wala
Nida Fazli
koi yahan se chal diya raunaq-e-baam-o-dar nahin
dekh raha hun ghar ko main ghar hai magar wo ghar nahin
Nooh Narvi
ye Thik hai nahin marta koi judai mein
KHuda kisi ko kisi se magar juda na kare
Qateel Shifai
yun lage dost tera mujh se KHafa ho jaana
jis tarah phul se KHushbu ka juda ho jaana
Qateel Shifai