tum se bichhaD kar zinda hain
jaan bahut sharminda hain
Iftikhar Arif
furqat-e-yar mein insan hun main ya ki sahab
har baras aa ke rula jati hai barsat mujhe
Imam Bakhsh Nasikh
aabaad mujh mein tere siwa aur kaun hai?
tujh se bichhaD raha hun tujhe kho nahin raha
Irfan Sattar
adan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai
use gale se lagae zamana ho gaya hai
Irfan Siddiqi
wo tere bichhaDne ka saman yaad jab aaya
bite hue lamhon ko sisakte hue dekha
Ishrat Qadri
usi maqam pe kal mujh ko dekh kar tanha
bahut udas hue phul bechne wale
Jamal Ehsani
ye gham nahin hai ki hum donon ek ho na sake
ye ranj hai ki koi darmiyan mein bhi na tha
Jamal Ehsani