firaq-e-yar ne bechain mujh ko raat bhar rakkha
kabhi takiya idhar rakkha kabhi takiya udhar rakkha
Ameer Minai
tul-e-shab-e-firaq ka qissa na puchhiye
mahshar talak kahun main agar muKHtasar kahun
Ameer Minai
milna tha ittifaq bichhaDna nasib tha
wo utni dur ho gaya jitna qarib tha
Anjum Rehbar
itna be-tab na ho mujh se bichhaDne ke liye
tujh ko aaankhon se nahin dil se juda karna hai
Anjum Saleemi
kabhi kabhi to ye dil mein sawal uThta hai
ki is judai mein kya us ne pa liya hoga
Anwar Anjum
ho gae din jinhen bhulae hue
aaj kal hain wo yaad aae hue
Anwar Shuoor
kaDa hai din baDi hai raat jab se tum nahin aae
digar-gun hain mere haalat jab se tum nahin aae
Anwar Shuoor