ab jo ek hasrat-e-jawani hai
umr-e-rafta ki ye nishani hai
Mir Taqi Mir
ada aai jafa aai ghurur aaya hijab aaya
hazaron aafaten le kar hasinon par shabab aaya
Nooh Narvi
ach jae jawani mein jo duniya ki hawa se
hota hai farishta koi insan nahin hota
Riyaz Khairabadi
hae 'simab' us ki majburi
jis ne ki ho shabab mein tauba
Seemab Akbarabadi
jawani se ziyaada waqt-e-piri josh hota hai
bhaDakta hai charagh-e-subh jab KHamosh hota hai
passion runneth stronger in dotage than in youth
the flame flickers burning brighter ere it dies forsooth
Shad Lakhnavi
waqt-e-piri shabab ki baaten
aisi hain jaise KHwab ki baaten
in old age talk of youth now seems
to be just like the stuff of dreams
Sheikh Ibrahim Zauq
ai ham-nafas na puchh jawani ka majra
mauj-e-nasim thi idhar aai udhar gai
Tilok Chand Mahroom