zikr jab chhiD gaya qayamat ka
baat pahunchi teri jawani tak
Fani Badayuni
aat bhi nind bhi kahani bhi
hae kya chiz hai jawani bhi
Firaq Gorakhpuri
naseha aashiqi mein rakh mazur
kya karun aalam-e-jawani hai
Goya Faqir Mohammad
KHamosh ho gain jo umangen shabab ki
phir jurat-e-gunah na ki hum bhi chup rahe
Hafeez Jalandhari
tasawwur mein bhi ab wo be-naqab aate nahin mujh tak
qayamat aa chuki hai log kahte hain shabab aaya
Hafeez Jalandhari
jab mila koi hasin jaan par aafat aai
sau jagah ahd-e-jawani mein tabiat aai
Hafeez Jaunpuri
ajib haal tha ahd-e-shabab mein dil ka
mujhe gunah bhi kar-e-sawab lagta tha
strange was the condition of my heart in youth
when even sinful deeds seemed piety forsooth
Hira Nand Soz