اردو हिंदी
Ab jo ek hasrat-e-jawani hai | Shaahi Shayari
ab jo ek hasrat-e-jawani hai

Ghazal

Ab jo ek hasrat-e-jawani hai

Mir Taqi Mir

;

ab jo ek hasrat-e-jawani hai
umr-e-rafta ki ye nishani hai

rashk-e-yusuf hai aah waqt-e-aziz
umr ek bar-e-karwani hai

girya har waqt ka nahin be-hech
dil mein koi gham-e-nihani hai

hum qafas-zad qaidi hain warna
ta chaman ek par-fishani hai

us ki shamshir tez hai hamdam
mar rahenge jo zindagani hai

gham-o-ranj-o-alam niko yan se
sab tumhaari hi mehrbani hai

KHak thi maujzan jahan mein aur
hum ko dhoka ye tha ki pani hai

yan hue 'mir' tum barabar KHak
wan wahi naz o sargirani hai