aaina dekh ke farmate hain
kis ghazab ki hai jawani meri
Imdad Imam Asar
'jalal' ahd-e-jawani hai doge dil sau bar
abhi ki tauba nahin e'tibar ke qabil
Jalal Lakhnavi
aaya tha sath le ke mohabbat ki aafaten
jaega jaan le ke zamana shabab ka
Jigar Biswani
gudaz-e-ishq nahin kam jo main jawan na raha
wahi hai aag magar aag mein dhuan na raha
no longer am I young, love's passion still remains
the fire as yet burns, no smoke tho it contains
Jigar Moradabadi
kisi ka ahd-e-jawani mein parsa hona
qasam KHuda ki ye tauhin hai jawani ki
Josh Malihabadi
sair kar duniya ki ghafil zindagani phir kahan
zindagi gar kuchh rahi to ye jawani phir kahan
Khwaja Meer u0027Dardu0027
kya yaad kar ke roun ki kaisa shabab tha
kuchh bhi na tha hawa thi kahani thi KHwab tha
Lala Madhav Ram Jauhar