اردو हिंदी
Gar koi kaT le sar bhi tere diwane ka | Shaahi Shayari
gar koi kaT le sar bhi tere diwane ka

Ghazal

Gar koi kaT le sar bhi tere diwane ka

Joshish Azimabadi

;

gar koi kaT le sar bhi tere diwane ka
par ye sauda-e-mohabbat hai nahin jaane ka

mast rakh yaad mein us chashm ki ta-roz-e-jaza
munh na dikhla mujhe ya-rab kisi mai-KHane ka

mere dil ko bhi na howe hawas-e-bosa agar
aashna lab se tere lab na ho paimane ka

husn aur ishq ka mazkur na howe jab tak
mujh ko bhata nahin sunna kisi afsane ka

kyun na muztar hun use dekh ke dekho to sahi
shama ke samne kya haal hai parwane ka

hath uThta nahin ai yar jo suljhane se
dil teri zulf se uljha hai magar shane ka

go ki mar jae tere ishq mein 'joshish' lekin
shikwa-e-jaur-o-jafa munh pe nahin lane ka