apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya
chand ne pani mein dekha aur pagal ho gaya
Muneer Niyazi
wah kya is gul-badan ka shoKH hai rang-e-badan
jama-e-abi agar pahna gulabi ho gaya
Muzaffar Ali Aseer
dil ke do hisse jo kar Dale the husn-o-ishq ne
ek sahra ban gaya aur ek gulshan ho gaya
Nooh Narvi
KHuda ke Dar se hum tum ko KHuda to kah nahin sakte
magar lutf-e-KHuda qahr-e-KHuda shan-e-KHuda tum ho
For fear of God, to you cannot, ascribe divinity
but joy divine, wrath divine, glory divine you be
Nooh Narvi
husn ke samajhne ko umr chahiye jaanan
do ghaDi ki chahat mein laDkiyan nahin khultin
Parveen Shakir
agar aa jae pahlu mein 'qamar' wo mah-e-kaamil bhi
do aalam jagmaga uTThenge dohri chandni hogi
Qamar Jalalvi
jalwa-gar bazm-e-hasinan mein hain wo is shan se
chand jaise ai 'qamar' taron bhari mahfil mein hai
Qamar Jalalvi