kya sabab tere badan ke garm hone ka sajan
aashiqon mein kaun jalta tha gale kis ke laga
Abroo Shah Mubarak
us waqt jaan pyare hum pawate hain ji sa
lagta hai jab badan se taire badan hamara
Abroo Shah Mubarak
wo apne husn ki KHairaat dene wale hain
tamam jism ko kasa bana ke chalna hai
Ahmad Kamal Parwazi
sharm bhi ek tarah ki chori hai
wo badan ko churae baiThe hain
Anwar Dehlvi
chaman wahi ki jahan par labon ke phul khilen
badan wahi ki jahan raat ho gawara bhi
Asad Badayuni
ab dekhta hun main to wo asbab hi nahin
lagta hai raste mein kahin khul gaya badan
Farhat Ehsas
kya badan hai ki Thaharta hi nahin aankhon mein
bas yahi dekhta rahta hun ki ab kya hoga
Farhat Ehsas