DhunDta hun main zamin achchhi si
ye badan jis mein utara jae
Mohammad Alvi
main us ke badan ki muqaddas kitab
nihayat aqidat se paDhta raha
Mohammad Alvi
mohabbat ke Thikane DhunDhti hai
badan ki la-makani mausamon mein
Naseer Ahmad Nasir
KHuda ke waste gul ko na mere hath se lo
mujhe bu aati hai is mein kisi badan ki si
Nazeer Akbarabadi
ahut lambi masafat hai badan ki
musafir mubtadi thakne laga hai
Prem Kumar Nazar
ji chahta hai hath laga kar bhi dekh len
us ka badan qaba hai ki us ki qaba badan
Prem Kumar Nazar
akh di hai us ne khol ke KHud jism ki kitab
sada waraq pe le koi manzar utar de
Prem Kumar Nazar