اردو हिंदी
Nalan hua hai jal kar sine mein man hamara | Shaahi Shayari
nalan hua hai jal kar sine mein man hamara

Ghazal

Nalan hua hai jal kar sine mein man hamara

Abroo Shah Mubarak

;

nalan hua hai jal kar sine mein man hamara
pinjre mein bolta hai garm aaj agan hamara

piri kaman ki jyun mane nahin akaD kun
hai zoaf bich duna ab bankpan hamara

chalta hai jiw jis par jate hain us ke pichhe
saude mein ishq ke hai ab ye chalan hamara

milne ki hikmaten sab aati hain hum ko ek ek
go bu-ali ho launDa khata hai fan hamara

majlis mein aashiqon ki aur hi bahaar ho ja
aawe jabhi rangila gul-pairahan hamara

is waqt jaan pyare hum pawate hain ji sa
lagta hai jab badan se tere badan hamara

ye muskuraona hai to kis tarah jiyunga
tum ko to ye hansi hai par hai maran hamara

izzat hai jauhri ki jo qimti ho gauhar
hai 'abru' haman kun jag mein suKHan hamara