ye be-kanar badan kaun par kar paya
bahe chale gae sab log is rawani mein
Farhat Ehsas
kaun badan se aage dekhe aurat ko
sab ki aankhen girwi hain is nagri mein
Hamida Shahin
adan pe pairahan-e-KHak ke siwa kya hai
mere alaw mein ab rakh ke siwa kya hai
Himayat Ali Shayar
adan ke donon kinaron se jal raha hun main
ki chhu raha hun tujhe aur pighal raha hun main
Irfan Siddiqi
magar giraft mein aata nahin badan us ka
KHayal DhunDhta rahta hai istiara koi
Irfan Siddiqi
main teri manzil-e-jaan tak pahunch to sakta hun
magar ye rah badan ki taraf se aati hai
Irfan Siddiqi
uh ko ruh se milne nahin deta hai badan
KHair ye bich ki diwar gira chahti hai
Irfan Siddiqi