hae wo us ka mauj-KHez badan
main to pyasa raha lab-e-ju bhi
Jaun Eliya
yaad aate hain moajaze apne
aur us ke badan ka jadu bhi
Jaun Eliya
lagte hi hath ke jo khinche hai ruh tan se
kya jaanen kya wo shai hai us ke badan ke anda
Jurat Qalandar Bakhsh
nur-e-badan se phaili andhere mein chandni
kapDe jo us ne shab ko utare palang pa
Lala Madhav Ram Jauhar
tujh sa koi jahan mein nazuk-badan kahan
ye pankhuDi se honT ye gul sa badan kahan
Lala Madhav Ram Jauhar
gundh ke goya patti gul ki wo tarkib banai hai
rang badan ka tab dekho jab choli bhige pasine mein
Mir Taqi Mir
andheri raaton mein dekh lena
dikhai degi badan ki KHushbu
Mohammad Alvi