اردو हिंदी
Ye garm ret ye sahra nibha ke chalna hai | Shaahi Shayari
ye garm ret ye sahra nibha ke chalna hai

Ghazal

Ye garm ret ye sahra nibha ke chalna hai

Ahmad Kamal Parwazi

;

ye garm ret ye sahra nibha ke chalna hai
safar tawil hai pani bacha ke chalna hai

bas is KHayal se ghabra ke chhaT gae sab log
ye shart thi ki qataren bana ke chalna hai

wo aae aur zamin raund kar chale bhi gae
hamein bhi apna KHasara bhula ke chalna hai

kuchh aise farz bhi zimme hain zimme-daron par
jinhen hamare dilon ko dukha ke chalna hai

shanasa zehnon pe tane asar nahin karte
tu ajnabi hai tujhe zahr kha ke chalna hai

wo dida-war ho ki shaer ki masKHara koi
yahan sabhi ko tamasha dikha ke chalna hai

wo apne husn ki KHairaat dene wale hain
tamam jism ko kasa bana ke chalna hai