اردو हिंदी
Hamin ne unki taraf se mana liya dil ko | Shaahi Shayari
hamin ne unki taraf se mana liya dil ko

Ghazal

Hamin ne unki taraf se mana liya dil ko

Aal-e-Raza Raza

;

hamin ne un ki taraf se mana liya dil ko
wo karte uzr to ye aur bhi garan hota

samajh to ye ki na samjhe KHud apna rang-e-junun
mizaj ye ki zamana mizaj-dan hota

bhari bahaar ke din hain KHayal aa hi gaya
ujaD na jaata to phulon mein aashiyan hota

dimagh arsh pe hai tere dar ki Thokar se
nasib hota jo sajda to main kahan hota