اردو हिंदी
Ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin | Shaahi Shayari
ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin

Ghazal

Ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin

Aalok Shrivastav

;

ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin
masruf hum bahut hain magar be-KHabar nahin

ab to KHud apne KHun ne bhi saf kah diya
main aap ka rahunga magar umr bhar nahin

aa hi gae hain KHwab to phir jaenge kahan
aaankhon se aage un ki koi rahguzar nahin

kitna jien kahan se jien aur kis liye
ye iKHtiyar hum pe hai taqdir par nahin

mazi ki rakh ulTin to chingariyan milin
be-shak kisi ko chaho magar is qadar nahin