اردو हिंदी
Jabr-e-haalat ka to nam liya hai tumne | Shaahi Shayari
jabr-e-haalat ka to nam liya hai tumne

Ghazal

Jabr-e-haalat ka to nam liya hai tumne

Aal-e-Ahmad Suroor

;

jabr-e-haalat ka to nam liya hai tum ne
apne sar bhi kabhi ilzam liya hai tum ne

mai-kashi ke bhi kuchh aadab baratna sikho
hath mein apne agar jam liya hai tum ne

umr guzri hai andhere ka hi matam karte
apne shole se bhi kuchh kaam liya hai tum ne

hum faqiron se sataish ki tamanna kaisi
shahryaron se jo inam liya hai tum ne

qarz bhi un ke muani ka ada karna hai
garche lafzon se baDa kaam liya hai tum ne

un usulon ke kabhi zaKHm bhi khae hote
jin usulon ka bahut nam liya hai tum ne

lab pe aate hain bahut zauq-e-safar ke naghme
aur har gam pe aaram liya hai tum ne