اردو हिंदी
KHushk kheti hai magar usko hari kahte hain | Shaahi Shayari
KHushk kheti hai magar usko hari kahte hain

Ghazal

KHushk kheti hai magar usko hari kahte hain

Aal-e-Ahmad Suroor

;

KHushk kheti hai magar us ko hari kahte hain
kam-nigahi ko bhi wo dida-wari kahte hain

fikr-e-raushan ko wo shorida-sari kahte hain
yani suraj ko charagh-e-sahari kahte hain

jo tere dar se uTha phir wo kahin ka na raha
us ki qismat mein rahi dar-badri kahte hain

kitni be-rahm hai fitrat unhen malum nahin
jo use kargah-e-shishagari kahte hain

husn ke bab mein 'akbar' ki sanad kafi hai
hum bhi har ek but-e-kamsin ko pari kahte hain

ruh-e-sayyad pe KHuda jaane guzar jaegi kya
aam ali-gaDh mein hui kam-nazari kahte hain