haari bojh pahaD sa kuchh halka ho jae
jab meri chinta baDhe man sapne mein aae
Akhtar Nazmi
chheD-chhaD karta raha mujh se bahut nasib
main jita tarkib se haara wahi ghari
Akhtar Nazmi
jiwan bhar jis ne kiye unche peD talash
beri par laTki mili us chiDiya ki lash
Akhtar Nazmi
khol diye kuchh soch kar sab pinjron ke dwar
ab koi panchhi nahin uDne ko tayya
Akhtar Nazmi
lauTa gehun bech kar apne ganw kisan
biTiya guDiya si lagi patni lagi jawan
Akhtar Nazmi
meri taraf se to TuTa nahin koi rishta
kisi ne toD diya e'tibar TuT gaya
Akhtar Nazmi
naw kaghaz ki chhoD di main ne
ab samundar ki zimmedari hai
Akhtar Nazmi