fareb-KHurda hai itna ki mere dil ko abhi
tum aa chuke ho magar intizar baqi hai
Akhtar Muslimi
han ye bhi tariqa achchha hai tum KHwab mein milte ho mujh se
aate bhi nahin gham-KHane tak wada bhi wafa ho jata hai
Akhtar Muslimi
har shaKH-e-chaman hai afsurda har phul ka chehra pazhmurda
aaghaz hi jab aisa hai to phir anjam-e-bahaaran kya hoga
Akhtar Muslimi
insaf ke parde mein ye kya zulm hai yaro
dete ho saza aur KHata aur hi kuchh hai
Akhtar Muslimi
iqrar-e-mohabbat to baDi baat hai lekin
inkar-e-mohabbat ki ada aur hi kuchh hai
Akhtar Muslimi
jo ba-KHabar the wo dete rahe fareb mujhe
tera pata jo mila ek be-KHabar se mila
Akhtar Muslimi
KHushi hi shart nahin lutf-e-zindagi ke liye
mata-e-gham bhi zaruri hai aadmi ke liye
Akhtar Muslimi