hum aae roz naya KHwab dekhte hain magar
ye log wo nahin jo KHwab se bahal jaen
Akhtar Razaa Saleemi
ek aag hamari muntazir hai
ek aag se hum nikal rahe hain
Akhtar Razaa Saleemi
jismon se nikal rahe hain sae
aur raushni ko nigal rahe hain
Akhtar Razaa Saleemi
KHwab galiyon mein phir rahe the aur
log apne gharon mein soe the
Akhtar Razaa Saleemi
pahle tarasha kanch se us ne mera wajud
phir shahr bhar ke hath mein patthar thama diye
Akhtar Razaa Saleemi
suna gaya hai yahan shahr bas raha tha koi
kaha gaya hai yahan par makan hote the
Akhtar Razaa Saleemi
tujhe KHabar nahin is baat ki abhi shayad
ki tera ho to gaya hun magar main hun us ka
Akhtar Razaa Saleemi