nadiya ne mujh se kaha mat aa mere pas
pani se bujhti nahin antarman ki pyas
Akhtar Nazmi
wo zahr deta to sab ki nigah mein aa jata
so ye kiya ki mujhe waqt pe dawaen na din
Akhtar Nazmi
yar khisakti jaegi muTThi mein se ret
ye to mumkin hi nahin chiDiya chuge na khet
Akhtar Nazmi
zikr wahi aaThon pahar wahi katha din raat
bhul sake to bhul ja gae dinon ki baat
Akhtar Nazmi
junun bhi zahmat KHirad bhi lanat hai zaKHm-e-dil ki dawa mohabbat
harim-e-jaan mein tawaf-e-paiham yahi hai andaz-e-ashiqana
Akhtar Orenvi
kitne taban the wo lamhat tere pahlu mein
do ghaDi meri bhi firdaus mina guzri hai
Akhtar Orenvi
main muntazir hun teri tamanna liye hue
aa ja farogh-e-husn ki duniya liye hue
Akhtar Orenvi