ek na-tawan rishta us se ab bhi baqi hai
jis tarah duaon ka aur asar ka rishta hai
Abbas Rizvi
KHauf aisa hai ki duniya ke satae hue log
kabhi mimbar kabhi mehrab se Dar jate hain
Abbas Rizvi
kya karun KHilat o dastar ki KHwahish ki mujhe
zist karne ka saliqa bhi ziyan se aaya
Abbas Rizvi
main jo chup tha hama-tan-gosh thi basti sari
ab mere munh mein zaban hai koi sunta hi nahin
Abbas Rizvi
talab karen to ye aankhen bhi in ko de dun main
magar ye log in aankhon ke KHwab mangte hain
Abbas Rizvi
tamam umr ki be-tabiyon ka hasil tha
wo ek lamha jo sadiyon ke pesh-o-pas mein raha
Abbas Rizvi
wahshat ke is nagar mein wo qaus-e-quzah se log
jaane kahan se aae the jaane kidhar gae
Abbas Rizvi