اردو हिंदी
Zara sukun bhi sahra ke pyar ne na diya | Shaahi Shayari
zara sukun bhi sahra ke pyar ne na diya

Ghazal

Zara sukun bhi sahra ke pyar ne na diya

Ahmad Ziya

;

zara sukun bhi sahra ke pyar ne na diya
musafiron ko hawa ne pukarne na diya

tujhe bhi de na sake chain wo gulab ke phul
mujhe bhi izn-e-tabassum bahaar ne na diya

na jaane kitne marahil ke baad paya tha
wo ek lamha jo tu ne guzarne na diya

kahan gae wo jo aabaad the KHarabe mein
pata kisi ka dil-e-be-qarar ne na diya

main aap-apne liye dushmanon se baDh kar tha
'ziya' ye dil tha mera jis ne haarne na diya