ye waqt band darichon pe likh gaya 'qaisar'
main ja raha hun mera intizar mat karna
Qaisar-ul-Jafri
zindagi bhar ke liye ruTh ke jaane wale
main abhi tak teri taswir liye baiTha hun
Qaisar-ul-Jafri
zindagi ne mera pichha nahin chhoDa ab tak
umr bhar sar se na utri ye bala kaisi thi
Qaisar-ul-Jafri
jati hui mayyat dekh ke bhi wallah tum uTh kar aa na sake
do chaar qadam to dushman bhi taklif gawara karte hain
Qamar Jalalabadi
kuchh to hai baat jo aati hai qaza ruk ruk ke
zindagi qarz hai qiston mein ada hoti hai
Qamar Jalalabadi
mere KHuda mujhe thoDi si zindagi de de
udas mere janaze se ja raha hai koi
Qamar Jalalabadi
ah mein un se mulaqat ho gai
jis se Darte the wahi baat ho gai
Qamar Jalalabadi

