tum aae ho tumhein bhi aazma kar dekh leta hun
tumhaare sath bhi kuchh dur ja kar dekh leta hun
Ahmad Mushtaq
tu agar pas nahin hai kahin maujud to hai
tere hone se baDe kaam hamare nikle
Ahmad Mushtaq
tu ne hi to chaha tha ki milta rahun tujh se
teri yahi marzi hai to achchha nahin milta
Ahmad Mushtaq
umr bhar dukh sahte sahte aaKHir itna to hua
apni chup ko dekh leta hun sada bante hue
Ahmad Mushtaq
wahan salam ko aati hai nange panw bahaar
khile the phul jahan tere muskurane se
Ahmad Mushtaq
wahi gulshan hai lekin waqt ki parwaz to dekho
koi tair nahin pichhle baras ke aashiyanon mein
Ahmad Mushtaq
wo jo raat mujh ko baDe adab se salam kar ke chala gaya
use kya KHabar mere dil mein bhi kabhi aarzu-e-gunah thi
Ahmad Mushtaq