اردو हिंदी
Kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi | Shaahi Shayari
kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi

Ghazal

Kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi

Ahmad Mushtaq

;

kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi
na kisi ka daman-e-chaak tha na kisi ki tarf-e-kulah thi

kai chand the sar-e-asman ki chamak chamak ke palaT gae
na lahu mere hi jigar mein tha na tumhaari zulf siyah thi

dil-e-kam-alam pe wo kaifiyat ki Thahar sake na guzar sake
na hazar hi rahat-e-ruh tha na safar mein ramish rah thi

mere chaar-dang thi jalwagar wahi lazzat-e-talab-e-sahar
magar ek ummid-e-shikasta-par ki misal-e-dard siyah thi

wo jo raat mujh ko baDe adab se salam kar ke chala gaya
use kya KHabar mere dil mein bhi kabhi aarzu-e-gunah thi