chaDha hua tha wo dariya agar hamare liye
to dekhte hi rahe kyun utar nahin gae hum
Ahmad Mahfuz
daman ko zara jhaTak to dekho
duniya hai kuchh aur shai nahin hai
Ahmad Mahfuz
dekhna hi jo shart Thahri hai
phir to aankhon mein koi manzar ho
Ahmad Mahfuz
gum-shuda main hun to har samt bhi gum hai mujh mein
dekhta hun wo kidhar DhunDne jata hai mujhe
Ahmad Mahfuz
hum ko aawargi kis dasht mein lai hai ki ab
koi imkan hi nahin lauT ke ghar jaane ka
Ahmad Mahfuz
kahan kisi ko thi fursat fuzul baaton ki
tamam raat wahan zikr bas tumhaara tha
Ahmad Mahfuz
kisi se kya kahen sunen agar ghubar ho gae
hamin hawa ki zad mein the hamin shikar ho gae
Ahmad Mahfuz