mohabbat ek pakiza amal hai is liye shayad
simaT kar sharm sari ek bose mein chali aai
Munawwar Rana
mujhe bhi us ki judai satati rahti hai
use bhi KHwab mein beTa dikhai deta hai
Munawwar Rana
munawwar man ke aage yun kabhi khul kar nahin rona
jahan buniyaad ho itni nami achchhi nahin hoti
Munawwar Rana
nikalne hi nahin deti hain ashkon ko meri aankhen
ki ye bachche hamesha man ki nigarani mein rahte hain
Munawwar Rana
pachpan baras ki umr to hone ko aa gai
lekin wo chehra aaankhon se ojhal na ho saka
Munawwar Rana
phenki na 'munawar' ne buzurgon ki nishani
dastar purani hai magar bandhe hue hai
Munawwar Rana
phir karbala ke baad dikhai nahin diya
aisa koi bhi shaKHs ki pyasa kahen jise
Munawwar Rana

