اردو हिंदी
Pairon ko mere dida-e-tar bandhe hue hai | Shaahi Shayari
pairon ko mere dida-e-tar bandhe hue hai

Ghazal

Pairon ko mere dida-e-tar bandhe hue hai

Munawwar Rana

;

pairon ko mere dida-e-tar bandhe hue hai
zanjir ki surat mujhe ghar bandhe hue hai

har chehre mein aata hai nazar ek hi chehra
lagta hai koi meri nazar bandhe hue hai

bichhaDenge to mar jaenge hum donon bichhaD kar
ek Dor mein hum ko yahi Dar bandhe hue hai

parwaz ki taqat bhi nahin baqi hai lekin
sayyaad abhi tak mere par bandhe hue hai

hum hain ki kabhi zabt ka daman nahin chhoDa
dil hai ki dhaDakne pe kamar bandhe hue hai

aankhen to use ghar se nikalne nahin detin
aansu hai ki saman-e-safar bandhe hue hai

phenki na 'munawar' ne buzurgon ki nishani
dastar purani hai magar bandhe hue hai