tumhaara nam aaya aur hum takne lage rasta
tumhaari yaad aai aur khiDki khol di hum ne
Munawwar Rana
tumhaare shahr mein mayyat ko sab kandha nahin dete
hamare ganw mein chhappar bhi sab mil kar uThate hain
Munawwar Rana
tumhaari aankhon ki tauhin hai zara socho
tumhaara chahne wala sharab pita hai
Munawwar Rana
tumhein bhi nind si aane lagi hai thak gae hum bhi
chalo hum aaj ye qissa adhura chhoD dete hain
Munawwar Rana
wusat-e-sahra bhi munh apna chhupa kar nikli
sari duniya mere kamre ke barabar nikli
Munawwar Rana
ye aisa qarz hai jo main ada kar hi nahin sakta
mein jab tak ghar na lauTun meri man sajde mein rahti hai
Munawwar Rana
ye soch kar ki tera intizar lazim hai
tamam umr ghaDi ki taraf nahin dekha
Munawwar Rana

