kab un aankhon ka samna na hua
tir jin ka kabhi KHata na hua
Mubarak Azimabadi
kab wo aaenge ilahi mere mehman ho kar
kaun din kaun baras kaun mahina hoga
Mubarak Azimabadi
kabhi dil ki kali khili hi nahin
e'tibar-e-bahaar kaun kare
Mubarak Azimabadi
kahan qismat mein is ki phul hona
wahi dil ki kali hai aur hum hain
Mubarak Azimabadi
kahin aisa na ho kam-baKHt mein jaan aa jae
is liye hath mein lete meri taswir nahin
Mubarak Azimabadi
kal to dekha tha 'mubarak' but-kade mein aap ko
aaj hazrat ja ke masjid mein musalman ho gae
Mubarak Azimabadi
kali rah gai na-shagufta hamari
gila rah gaya ye nasim-e-chaman se
Mubarak Azimabadi

