kuchh is andaz se sayyaad ne aazad kiya
jo chale chhuT ke qafas se wo giraftar chale
Mubarak Azimabadi
kya kahen kya kya kiya teri nigahon ne suluk
dil mein aain dil mein Thahrin dil mein paikan ho gain
Mubarak Azimabadi
le chala phir mujhe dil yar-e-dil-azar ke pas
ab ke chhoD aaunga zalim ko sitamgar ke pas
Mubarak Azimabadi
main to har har KHam-e-gesu ki talashi lunga
ki mera dil hai tere gesu-e-KHamdar ke pas
Mubarak Azimabadi
masjid ki sar-e-rah bina Dal na zahid
is rok se hone ke nahin ku-e-butan band
Mubarak Azimabadi
mehrab-e-ibaadat KHam-e-abru hai buton ka
kar baiThe hain kabe ko musalman faramosh
Mubarak Azimabadi
mehrbani chaarasazon ki baDhi
jab baDha darman to bimari baDhi
Mubarak Azimabadi

