daman ashkon se tar karen kyun-kar
raaz ko mushtahar karen kyun-ka
Mubarak Azimabadi
dil lagate hi to kah deti hain aankhen sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaz kahin chhupte hain
Mubarak Azimabadi
dil mein aane ke 'mubarak' hain hazaron raste
hum bataen use rahen koi hum se puchhe
Mubarak Azimabadi
din bhi hai raat bhi hai subh bhi hai sham bhi hai
itne waqton mein koi waqt-e-mulaqat bhi hai
Mubarak Azimabadi
gai bahaar magar apni be-KHudi hai wahi
samajh raha hun ki ab tak bahaar baqi hai
Mubarak Azimabadi
hansi hai dil-lagi hai qahqahe hain
tumhaari anjuman ka puchhna kya
Mubarak Azimabadi
hum bhi diwane hain wahshat mein nikal jaenge
najd ek dasht hai kuchh qais ki jagir nahin
Mubarak Azimabadi

